Gali se ek ladki guzra karti thi

Uske chehre par naqab hua karta tha
Phir bhi us par ek ladka marta tha
Shayad woh use dilo jaan se chahata tha
Woh use baar baar kehta

"Muh se naqaab hata do
Apna chaand sa mukhda dekha do
Par ladki ne muh se naqaab na hataya

Ladke ko apna chehra na dikhaya.
Kayi din beet gaye ladki ko woh ladka nazar na aaya
Ladki kuch pareshan si rehne lagi
Kisi tarah poochte poochte woh uske ghar pohochi.

Padosiyon ne kaha "aap ko aane main thodi der ho gaye

Us deewane ke to saat roz pehle hi maut aa gaye".
Padosi ne apna farz nibhaya
ladki ko ladke ki qabr tak pohochaya,
Ladki zor zor se rone lagi
Apne aansuon se qabr ko dhone lagi
Tabhi kabar se ek aawaz aayi....
AAY KHUDA YE KESA INQALAAB AAYA HAI
MAIN PARDAY MAIN HOON OR
MERA MEHBOOB BENIQAAB AAYA HAI"

Comments